BARPA QAYAMATAIN KRNA
kuchh batoon ko dar-guzzar(ignore) bhi kr diya karo Shafiq
ye zaroori to nhi, hr ek baat pe barpa qayamatain krna,
kbhi kbhi nafarmani bhi kr liya karo jan-bhooj kr
ye zaroori to nhi hr roz unke naam ki ibadatain krna,
qadam badhane se pehle soch liya karo, manzil ka nazara,
ye kia ke khud hi galatiyaan aur khud se hi shikayatain krna,
pehle faisla kr lo, kaun hai mujrim aur munsif kaun hai
ye kia ke sazain bhi sunana aur ussi mujrim ki phir himayatain krna,
ya to pehredari karo ya lawaris chod do
ye kia ke waqt pe gayab rehna aur bin-waqt be-shumar inayatain krna,
kuchh batoon ko dar-guzzar(ignore) bhi kr diya karo Shafiq
ye zaroori to nhi, hr ek baat pe barpa qayamatain krna.
************
No comments:
Post a Comment