Wednesday, March 4, 2020

                                  YE KAUN JANE



main hun ke preshaan ye kaun jane
main bi hun bss ek insaan ye kaun jane,

har roz utarta huun main zindagi ki kashmakash main
har roz hotte hain mere imtehan ye kaun jane,

har roz dekhta hun main duniyan ke alag alag chehre
hai kaun achha, kaun bura, kaun insan, kaun haiwan ye kaun jane,

main aksar khud ko be-bas-o-gunahgaar pata hunn
main kia hun, kyun hun, kia sochta hun, ye kaun jane,

ek jaisa ho kar bi paraya hun, ajnabi hun
main manta hun sb ko ek jaisa, sb barabar hain mere liye, ye kaun jane,

main tng hota hun bewaja nafrat se, be-buniyad sawaloon se,
nafrat galat hai mere liye, tumhare liye, sb ke liye ye kaun jane,

main hun ke preshan ye kaun jane,
main bi hun bss ek insaan ye kaun jane...

No comments:

Post a Comment

                                                                     خود سے ایک گفتگو  باہری خوبصورتی اور حُسن ایک چیز ہے لیکن اصلی خوبصورتی...