dard aur main
ye kmbakht dard hai ke km hone ka naam tk nhi leta
ye mahrbani hai iski ke bss jaghain badal leta hai,
jaghain badalne se rahat kahan milti hai
goya dard yahan bi dard tha,wahan bi dard rehta hai
ajeeb itefaq hai ke ab dard apna sa lagta hai
challo ye to hai jo masalsal(continuous) saath to
rehta hai,
har giz samaj nhi aati ye kahani iss ki
hai bhi sath hamesha aur ansuna sa, chup sa rehta hai,
log isse ek saza samajte hain, aksar koste hain
aur hum hain ye hamara hamsaya bn ke rehta hai,
eh dard tu kb tk rahega yuu hi, ye to zara btaa
hum bi na harenge, dekhte hain jbb hum na rahe to tu kahan rehta hai,
filhaal tu bi khud garz hai aur hum bii hain mashgool qafi
phir waqt mila to poochenge tujse tuu kia chahta hai,
aisa nhi ke tu chup hai, balke kuch awazain to hain teri
shayad kmi meri hai, jo main sun nhi pata ke tuu kia kehta hai,
ab tuje bi koi thikana na milega aur main bi chup hun
chal tu reh le sath mere jb tkk rehta hai.....

No comments:
Post a Comment